jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
mere rashke qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
barf si gir gayi kaam hi kar gayi
aag aisi lagaayi mazaa aa gaya
chaandni muskurai mazaa aa gaya
chand ke saye mein ae mere sakiya
tu ne aisi pilai mazaa aa gaya
nasha shishe mein angdai lene laga
bajm rindan mein sagar khankne laga
maikade pe barasne lagi mastiyan
jab gata gir ke chhai mazaa aa gaya
aankh unki lardi yun meri aankh se
dekh kar ye laraai maza aa gaya
mere rashke qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
surkh aariz huay wasal ki baat par
usne sharma ke mere sawaalat pe
usne sharma ke mere sawaalat pe
aise gardan jhukaayi maza aagaya
mere rashke qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
mere rashke qamar tu ne pehli nazar
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
jab nazar se milaayi mazaa aa gaya
aag aisi lagaayi mazaa aa gaya
jaam mein ghoul kar husan ki mastiyan
chaandni muskurai mazaa aa gaya
shaikh sahib ka imaan bik he gaya
daikh kar husan e saqi pigal he gaya
aaj se pehle ye kitne maghroor the
lut gayi parsaayi maza aa gaya
ae fanna shukar hai aaj baade fanna
usne rakh le mere pyaar kee aabro
apne haathon se usne meri qabar par
chaadare gul charhaayi mazaa aagaya
mere rashke qamar tu ne pehli nazar